Tum rooth jao....
Posted by OlivePile in Shaerie
tum rooth jao mujh sey aisa kabhi naa ho
main ik ik nazar ko tarsoo'n aisa kabhi naa ho
main pooch pooch haaro'n so so sawal ker k
tum koi jawab naa do aisa kabhi naa ho
kuch main bhi hoon janooni kuch meri mohabbat bhi
yeh janoon tujh ko naa bhaaye aisa kabhi naa ho
meray hi saath hansna, meray hi saath rona
mujh sey bichar k jii lo aisa kabhi naa ho...!!!